Saturday, April 24, 2010

Ishq junoon bhi, sanjeedgi bhi hai

ISHQ

Ishq junoon bhi, sanjeedgi bhi hai
Yeh hawas bhi hai, pakeezagi bhi hai
Shokhi bhi hai ishq
Baanki adaaon pe lutnay ka naam bhi hai
Rooh-e-irtaqa-e-dil-o-dimaagh bhi hai
Zindagi ko samajhnay ka naam bhi hai
Ishq masrufiat bhi, fursat bhi hai
Ishq qurbat bhi aur furqat bhi hai
Ishq riff'at bhi aur wuss'at bhi hai
Aur ishq kabhi faqt chahat bhi hai
Yeh maasoomyat bhi, rakhshandgi bhi hai
Bosa hai to kabhi bandgi bhi hai
Zameen bhi hai aur aasmaan bhi hai
Magar ufaq ka iss main nishaan bhi hai
Kabhi bistar ki salwaton se
To kabhi mandir ki moorton se
Kabhi uryaaniyon ka shai'da
To kabhi meera-o-mariam ki moorton se
Ishq rog bhi hai magar madaawa bhi hai
Ishq parstish bhi, magar da'awa bhi hai
Rishton say sadaa judaa hai ishq
Isliye hi bana khuda hai ishq

No comments:

Popular Posts