Monday, March 8, 2010

Jub ankhaiN bujh kaR rakh huwi

Jub ankhaiN bujh kaR rakh huwi
Jub dil ka jawalA sarD huwa
Jub sham-o-shehr kay sehra maiN
Khuwa’boN kay sit’aray raiT huway
Jub umr-e-rawan kay medaa’n maiN
Sub zinda jazbay khait huway
Us waqt mujhay maHsoos huwa
Jub ishq maiN sari umr kati shaied woh nazaR ka dhoka tha
Kirnoo say kisi kay lehjay maiN tanveeR thi meri apni hi
Shab taaB badaN kay jadoo maiN khud meray lahoo ka nasha tha
Kal raat magaR jub khirki par
Mehtaab nay akar dastak di
Khushboo ki tarha lehranay lagi
Har simt koi sargoshi si
Jub ankhain bujhnay lagti haiN, jub dil ka jawala sard paray
Us waqt kisi ko kya malooM, kon apna kon paraya tha
Lehjay maiN nasha tha kis kay sabaB aur kis nay kisay mehkaya tha

No comments:

Popular Posts