Toloo-e-shams-e-mufaaraqat hai
purani kirane'n naye makaano'n key Aangano'n me laraz rahi hen
Faseel-e-shehar-e-wafa ke rozaan chamakate zarro'n se bhar gai hen
gaye dino'n ki Aaziz baate'n, Nighaar subahe'n, gulab raate'n
Bisaat-e-Dil bhe ajeeb shay hai, hazaar jeete'n hazaar maate'n
Judaaiyo'n ki havaaye'n Lamho'n ki Khushmati uraa rahi hen
Gayee Ruto'n kaa malaal kab tak
chalo keh shaakhe'n to Tootati hen
chalo ke qabro'n pe Khoon rone se
Apni Aankhe'n hee phootatii hen
Ye mor wo hai jaha'n se mere tumhaare raste badal gaye hen
Puraani raaho'n ko Laotna bhe hamari taqdeer me nahee'n
keh Raaste bhe hamaare qadamo'n ke saath aage nikal gaye hen
Toloo-e-shams-e-mufaaraqat hai
Tum apni Aanko'n me Jhil_milaatay hoye sitaaro'n ko maot de do
Gayee Ruto'n ke tamaam phoolo'n, Tamam Khaaro'n ko maot de do
Naye safar ko hayaat baKhsho
keh pichhali Raaho'n pe sabt jitane Naqsh-e-paa hen
wo baar hon gey
Hawa uraaye keh tum uraao...!!!
***************
No comments:
Post a Comment