Friday, May 14, 2010

aj unhen kuch is tarah ji khol kar dekha kiye

aj unhen kuch is tarah ji khol kar dekha kiye
ek hi lamhe mein jaise umr bhar dekha kiye


dil agar betab hai dil ka muqaddar hai yahi
jis qadar thi ham ko taufiq-e-nazar dekha kiye


khudfaroshana ada thi meri surat dekhna
apne hi jalwe ba-andaz-e-digar dekha kiye


nashanas-e-gam faqat dad-e-hunar dete rahe
ham mata-e-gam ko ruswa-e-hunar dekha kiye


dekhne ka ab ye alam hai koi ho ya na ho
ham jidhar dekha kiye pehron udhar dekha kiye


husn ko dekha hai main ne husn ki khatir 'Hafeez'
warna sab apna hi mear-e-nazar dekha kiye

No comments:

Popular Posts