nahi k mujhko qayamat ka etiqad nahi
shab-e-firaq se roz-e-jaza ziyad nahi
koi kahe k shab-e-mah mein kya burai hai
bala se aj agar din ko abr-o-bad nahi
jo aun samne un k to marhaba na kahen
jo jaun wan se kahin ko, to khairabad nahi
kabhi jo yad bhi ata hun main to kahte hain
k aj bazm mein kuch fitna-o-fasad nahi
alawa eid k milti hai aur din bhi sharab
gada-e-kucha-e-maikhana namurad nahi
jahan mein ho gam-o-shadi baham, hamein kya kam
diya hai hamko Khuda ne wo dil k shad nahi
tum un k wade zikr un se kyun karo "Ghalib"
ye kya k tum kaho aur wo kahen k yad nahi
No comments:
Post a Comment