Zaur se baz aye par baz ayen kya
kahte hain ham tum ko munh dikhlayen kya
rat din gardish mein hain sat asman
ho rahega kuch na kuch ghabrayen kya
lag ho to us ko ham samjhen lagao
jab na ho kuch bhi to dhoka khayen kya
ho liye kyon namabar k sath-sath
ya rab apne khat ko ham pahunchayen kya
mauj-e-khun sar se guzar hi kyon na jaye
astan-e-yar se uth jayen kya
umr bhar dekha kiye marne ki rah
mar gae par dekhiye dikhlayen kya
puchte hain wo k "Ghalib" kaun hai
koi batlao k ham batlayen kya
No comments:
Post a Comment