duniya main kaun kaun na yak bar ho gaya
par mun phir is tarf na kiya us ne jo gaya
phirti hai meri khak saba dar-ba-dar liye
aye chashm-e-ashkbar ye kya tujh ko ho gaya
agah is jahan main nahin gair be khudan
jaga wahi idhar se jo mund ankh so gaya
tufan-e-noah ne to dabai zamin faqat
main nang-e-khalq sari khudai dubo gaya
barham kahin na ho gul-o-bulbul ki ashti
darta hun aj bag main wo tund khu gaya
waiz kise darawe hai yom-ulhisab se
giryan mera to nama-e-amal dho gaya
phulenge is zaban main bhi gulzar-e-marafat
yan main zamin-e-sher main ye tukhm bo gaya
aya na aitadal par hargiz mazaj-e-dahar
main garche garm-o-sard-e-zamana samo gaya
aye "Dard" jis ki ankh khuli is jahan main
shabnam ki tarah jan ko apni wo ro gaya
No comments:
Post a Comment