apne tain to har ghari gam hai, alam hai, dag hai
yad kare hamain kabhi kab ye tujhe dimag hai
ji ki khushi nahin giro sabz-o-gul ke hath kuch
dil ho shagufta jis jagah wo hi chaman hai bag hai
kis ki ye chashm-e-mast ne bazm ko yun chaka diya
masl-e-habab sar nagun sharam se har ayag hai
jalate hi jalte subah tak guzri use tamam shab
dil hai k shola hai koi, shama hai ya chirag hai
paiye kis jagah bata aye but-e-bewafa tujhe
umr-e-guzashta ki tarah gum hi sada surag hai
sair-e-bahar-o-bag se ham ko maf kijiye
us k khayal-e-zulf se dard kise farag hai ?
No comments:
Post a Comment