Tuesday, February 9, 2010

Aao ray aao tumhein phool bulata hai,

Aao ray aao tumhein phool bulata hai,
Kaisay kutt rahi hai zindagi,
Yeh batanaa chahtaa hai.

Bhanwaraa aaya thaa kal is kay paas,
Kehta ras mein ab naa rahi mithaas,
Kahaan gayee iskii mithaas,
Yeh batanaa chahtaa hai,
Aao ray aao tumhein phool bulata hai.


Haq jatayaa insaan nay,
Anmol thaa yeh prakriti kay liyeh,
Mol lagaya insaan nay,
Kitna mol lagaya is kaa,
Yeh batanaa chahtaa hai,
AAo ray aao tumhein phool bulata hai.

Kagazz ko galey laga kar,
Pairon taley dabaa yaa isko,
Bayjaan ko apna samjh kar,
Katall karaaya isko,
Kitno kay sarr uper yeh ilzaam dena chahtaa hai,
Aao ray aao tumhein phool bulata hai.

Jeevan kii rah par isnay,
Sab ko khush hai rakhna sikhaa,
Insaano say door jaa kar bhi,  
kay paaon mein padnaa sikhaa,
Kis kay dil mein jageh hai is ki,
Yeh batanaa chahtaa hai,
Aao ray aao tumko phool bulata hai.




No comments:

Popular Posts