Tuesday, February 9, 2010

Yeh kaisi pagal ladki hai.......


Mun kaliyon jaisa chanchal hai,
Dil phoolon jaisa komal hai,
Yeh kaisi pagal ladki hai,
Yeh kaisi pagal ladki hai.

Dekh kay badal jhoom uthtee hai,
Dekh kay vair yeh ro partii hai,
Yeh kaisi pagal ladki hai....

Dekh kay phool yeh hus partii hai,
Bachon kay dilon mein yeh khud bastee hai,
Yeh kaisi pagal ladki hai....

Andherey say kuch kuch dartee hai yeh,
Haath pay deep jalaye chalti hai yeh,
Yeh kaisi pagal ladki hai.......

Dekh kay nadiyaa yeh thumm jaati hai,
Bura sapna dekh kay darr jaati hai,
Yeh kaisi pagal ladki hai......

Baarish kii boondon ko peekar iski,
Har pyas mitt jaati hai,
Yeh kaisi pagal ladki hai.......

Dekh kay panchiyon kii daar,
Khull kay karti hai yeh unkaa deedaar,
Yeh kaisi pagal ladki hai....

Kaantay hai jeevan rehiit,
Lekin yeh unhein bhi jeevit karti hai,
Yeh kaisi pagal ladki hai.......

Dhaltay suraj ko dekh kar yeh,
Kuch soch kay hustee hai,
Chudtay suraj ko haath jod kay,
Yeh pranaam kartii hai,
Yeh kaisi pagal ladki hai.....

Khyaali jeevan jeetey hue jo,
Sach dekh kar marr jati hai,
Yeh ladki kon hai.........?

No comments:

Popular Posts