Tuesday, February 9, 2010

Jadaa-e-fan main baDay saKht muqaam aatay hain

Jadaa-e-fan main baDay saKht muqaam aatay hain
Mar kay rah jaataa hai fanakaar amar honay tak

Kitnay Gaalib thay jo paidaa huya aur mar bhii gay
Qadrdaann ko taKhallus ki kHabar honay tak

Kitnay iqbaal rah-e-fikr main uThay lekin
Raastaa bhuul gay Khatm-e-safar honay tak

KitnAy shabbiir hasan khaaN na banay josh kabhii
Mar gay kitnay sikander bhii jigar honay tak

Faiz rang bhii ashaar main aa sakataa thaa
UngliyaaN saath to dain Khuun main tar honay tak

Chand zarron hi ko miltii hai ziyaa-e-Khurshiid
Chand taare hii chamaktay hain sahar honay tak

Dil-e-shaayar pay kuchh aisii hii guzaratii hai ''
Jo kisii qatray pay guzray hai guhar honay tak
__________________

No comments:

Popular Posts