Wo qisa e gham sunata raha
mera zabt aazmaata raha
aaj ser e bazam wo apne
dil ke daagh dikhata raha
Noha e dil e barbaad koi
akheer e shab ko gata raha
Kisi ke haath meiN teer the
koi zakhm sehlaata raha
wo sakoon ka matlashi tha
aur mujhe dard bhata raha
us ki tanhaai ka khayaal
mujhe her pal satata raha
kya hai hijr o wasal aakhir
waqt mujhe samjhata raha
bulaney se wo nahi bhoola
reh reh ker yaad aata raha
raqabat ki inteha dekho
sooraj diya bujhata raha
khak hoi maiN jal jal ker
zamana raakh uRata raha
us ki aankh ka pani
mujhe shab bher rulata raha
No comments:
Post a Comment