Nafrat bhi dilnasheeN hay jo ulfat kamaal hai
Us shakhs ki Saraab! rafaaqat kamaal hai
Wo keh rahay haiN ham say "muhabbat hay aap say"
Ham sochtay haiN unki murawwat kamaal hai
Zillat uThaayee, zulm sahay, phir bhi khush rahay
Har cheez bhool janay ki aadat kamaal hai
Maqtool se gila hay ke wo qatl kyoN hua?
Qatil! ye tera tarz-e-shikayat kamaal hai
HaiN mustaqil nashay maiN, hamaiN maye se kia gharaz
Aye dost! tairay dard ki lazzat kamaal hai
Daikha kuch is nazar se ke pathHra gaye qadam
Ye saath chHoRnay ki ijazat kamaal hai
Har roz apni zaat ke TukRay kiay Saraab!
Ham ne jo un se ki hay muhabbat, kamaal hai
No comments:
Post a Comment