Sard rutoN ka mosim aaya
garmi ki loo ko ThaThraaya
mitti tarsi barish barsi
Badal garja bijli chamki
Sard hawa maiN lpti raat
Behkaaye apne jazbaat
Teri neeNd hay kiyuN bezaar
sardi ki shab hay dildaar
Khidki darwazay mat kholo
Parde gira do pyar se bolo
sheetal jaisi dhoop maiN baitho
sher buno ik chehra socho
phoolon per shabnam ki booNdaiN
jaise barf ki kirnaiN jhoomaiN
barf ki chaadar oRhaiN pattay
dhuNdle dhuNdle ho gye raste
her har jaanib hay dhuNd musalsal
jise utra har soo baadal
Din ka raaja raat ki raani
kya chairaiN khshbu ki kahaani
Kho baithay haiN raanaayi ko
yaad karaiN ab purwaai ko
har har poda jaan chuka hay
peelay pattay taan chuka hay
Door talak hay peelaahat si
paaty girne ki aahat si
Thandi hwaayeN lehraati haiN
barfeele naGhmay gaati haiN
Jaise zamiN pe rooyi bikhri
Rooi bikhri rooi barsi
Bagiya jo sar sabz thi kal tak
Bagiya maiN halachal thi kal tak
Rooi rooi dikhti hay ab
barf ki chadar auRhay hay ab
Sooraj jo tan ko ab bhaaya
Barf ne us ko bhi gehnaaya
Laikin ye sab din achay haiN
kafi din tak tau rehte haiN
No comments:
Post a Comment