Monday, June 28, 2010

Mujhse kehti hai ye zindagi meri Chalo Kahin dur le chalun tumko


Mujhse kehti hai ye zindagi meri,
Chalo! Kahin dur le chalun tumko,
Jahan Ranj-O-Musibat ke kafilein na ho,
Dard-O-Minnat ke mele na ho,
Aah aur ruswaiye ke Jhamele na ho,
Mujhse kehti hai aksar zindagi meri....

Chalo ! Kahin esi jagah chale hum,
Mohabbat ho harsu na ho koi ghum,
bas khwab muskrate rahe aankho me,
Na bheege palke, na ho ankhein nam,
Mujhse kehti hai aksar zindagi meri..
Chalo ! esi jagah chalo,
Jahan pooja jata ho mohabbat ko,
Jahan manga jata ho mohabbat ko,
Jahan samjha jata ho mohabbat ko,
Jahan na Ounch neech ho na koi zulm,
Chalo ! Esi jagah chalein hum,

Mujhse kehti hai aksar zindagi meri...
Jahan rishte ho mohabbat ke,
Jahan insaniyat zinda ho,
Jahan mazhab k naam pe na chale talwarein,
Jahan na khadi ho mandir- masjid ki deewarein,
Jahan na pooja ho bas paiso ki ,
Jahan na deewar ho garibi ki,
Mujhse kehti hai aksar zindagi meri...
wahan chalein e- dil mere,
Jahan bas rab ka naam ho,
Mohabbat ka paigam ho..
Chalo ! Kahin dur le chalu tumko,
Mujhse kehti hai ye zindagi meri....!!!

No comments:

Popular Posts