Hayaat Ke Ujrey Dyaar Mein Kuch Taarekiyaan Abhi Aur Hain
Naseeb Ke Bigrey Nisaab Mein Kuch Talkhiyaan Abhi Aur Hain
Main Ne Phir Se Tinkey Jorr Kar Socha Ke Banaaon Aik Ghar
Mujhey Tabhi Falak Se Nawa Milli Ke Wahaan Badliyaan Abhi Aur Hain
Yahi Dekh Ab Ke Teray Khwaab Sab Kyon Dhal Gye Hain Saraab Mein
Dil E Be Khabar Zara Hosh Kar Ke Teray Imtehaan Abhi Aur Hain
Wo Daagh Yaadon Ke Bad Numaan Tu Ne Mitaaye To Hain Par Sab Nahi
Maseeha E Waqt Meray Zehan Par Aisay Kuch Nishaan Abhi Aur Hain
Aey Toofan E Hawa Zara Phir Se Aa In Bastiyon Mein Har Us Jaga
Jahaan Bach Gye Hain Chand Ghareeb Aisey Kuch Makaan Abhi Aur Hain
Main Chaahon Agar Bhi To Kis Trah Supurd E Ajal Ho Jaaon Abhi
Ke Is Soukhta Jaan Ke Hisaab Mein Qarz E Dostaan Abhi Aur Hain
Abhi Khwaahishon Mein Lagey Raho Zara Saans Lainey Ko Ruko Nahii
Mujhey Hai Yaqeen Yahien Aass Pass Naye Aasmaan Abhi Aur Hain
No comments:
Post a Comment