her qadam gurezan tha,her nazer main wehshat thi
muslehat perastoon ki rehbary qiamat thi
munzil-e-tamana tak kon sath deta hai !
gerd-e- saye la hasil her sefer ki qismat thi
aap hi bigerta tha , aap mun bhi jata tha
is gurez pelo ko ye ajeeb adat thi
is ne hal poocha to yad hi na ata tha!
kis ko kis se shikwa tha, kis se kia shikayat thi
dasht main hawaon ki berukhi ne mara hai
sher main zamane ki pooch guch se wehshat thi
youn to din dahare log loot lete hain
lekin in nigahoon ki our hi siyasat thi
hijer ka zamana bhi kia ghazab zamana tha
aankh main samunder tha, dheyan main wo sorat thi
No comments:
Post a Comment