Aap! Hazrat! Kamaal kartay hain!
PatthroN se sawaal kartay hain!
Unki soorat pe, Ha'aey! deewane
Mar ke, jeena muhaal kartay hain
Roshanii ke dassay hoye, yeh log
Raat ko din kheyaal kartay hain
Hum hain woh sar-phirray jo khud apni
Zaat ko paay'i'maal kartay hain
Hum ne jab dard khud hii paalay hain
Aap phir kion mala'al kartay hain
Hum tau iss daur-e-hijr mein, rasman
Aarzoo-e-visaal kartay hain
No comments:
Post a Comment