Tuesday, December 28, 2010

Ham Aseeraan-e-wafa..!!


Ham Aseeraan-e-wafa..!!

kis qadar sakht hai ay jaan-e-jahaN hijr ki raat..
koi aawaz, na aahaT, na hi jeenay ka suraagh..
mohr ba lab hai khamoshi bhi kaii barsoN say..
chaand taaray haiN falak par.. na zameeN par hai charaagh..
roshni bhi meri taqdeer say khaaif ho kar..
mere aangan say bohat door raha karti hai..
habs itna hai k munh zor hawa ki saansaiN..
meri dehleez ko chu laiN.. to ukhaR jati haiN..
aur aisay maiN sitam daikh k ay jaan-e-jahaN..
zehn k band kawaRoN pe hai dastak daita..
zeena-e-shab say utarta teri yaadoN ka hajoom..
khushk pattoN sa bikhartay tere w'adoN ka hajoom..
koocha-e-jaaN maiN yooNhi raat gaye phailti hai..
chand bikhray huwe, TooTay huwe khaaboN ki kasak..
jaisay sookhay huwe be jaan gulaaboN ki mehak..
soch.. aisay maiN dar-e-yaar say Thukraaye huwe..
apni saansoN say bhi, dhaRkan say bhi uktaaye huwe..
ham aseeraan-e-wafa.. zehr-e-jafa khaaye huwe..
kis tarah jeenay ka samaan kiya kartay haiN?..
aur har roz.. meri jaan.. kiya kartay haiN..!!

No comments:

Popular Posts