Apni tanhai mere naam pe abaad kare
kaun hoga jo mujhe usski tarah yaad kare
dil ajab shehr ke jiss per bhi khula dar iss ka
woh musafir issay her simt se barbad kare
apne qatil ki zehanat se pareshan hon mein
roz eik maut naye tarz se ejaad kare
salb-e-benaai ke ehkaam mile hein jo kabhi
roshni choone ki khwahish koi shab-zaad kare
soch rakhna bhi jaraaim mein hai shamil abb tou
wahi ma’soom hai her baat pe jo saad kare
jub lahoo bol pare iss ke gawahoN ke khilaaf
kaazi-e-shehr kuch iss baab mein irshaad kare
uss ki muthi mein bohot roz raha mera wajood
mere saahir se kaho abb mujhe azaad kare
No comments:
Post a Comment