Tuesday, June 8, 2010

suno ke raigzaar-e-umr ka yeh aakhri zarra

suno ke raigzaar-e-umr ka yeh aakhri zarra
meri be- jaaN hathaili sey…phisalta ja raha hey ab
meri guzri musafat ki thakan ab ood aai hey
merey qasid…suno..janay say pehlay itna kehna hey
mere ujary shehar ke un gali koochoN maiN jao tou
jahaN bachpan bitaya tha…jahaN sab kuch ganwaya tha
tou us weeran khandar ko..payaam-e-aakhri daina
waheeN aangan maiN dayeN hath pe…ik pairr daikho gay
usi boorhay shajar ke… sin raseeda say badan par tum
mere bay rang hathoN ki lakeeroN ki tarha…ik jaal daikho gay
usi peepal ki chaaooN maiN…
kisi masoom ke dil ne..kaii sapnay sajaye thay
kisi ki aankh ke aansu…kisi dil ne bahaaye thay
kisi ki jheel ankhoN ney…kaii saagar lutaye thay
bohat narmi say us peepal ko chuh kar..itna keh daina
ke ab aankhoN ke yeh darya…kahiN saagar nahiN rotay
muqaddar jinka sota hai….kabhi phir woh nahiN sotay
usay kehna mere qasid..!
jinhoN ne umr sari teri chaooN maiN basar kar di
woh aakhir pal tumharay pas aa kar..kuch na keh paye
lipat kar tum say ro laiN gay..agar duniya maiN reh paaye
suno qaasid..!!
wahaN say chand qadam ke faslay par…aik chokhat hey
wuhi chokhat hey yeh piyaray…
jahaN sajday kiye hum ney…jahaN par zindagi haari
jahaN kuch pal jiye hum ney….jahaN par jaan yeh waari
jawaaN margi pe meri shehr yeh maatam kunaaN hoga
magar…us aik chokhat par…ajab sa hi samaaN hoga..
wahaN raqsaaN sabhi chehroN pe kuch ra’aniyaaN hoNgi
wahaN bajti chaharoN su…bohat shehnaiyaN hoNgi
wahaN jiski nazar maiN jeet janay ki thakawat ho
magar…us dil nasheeN chehray pe..gehri muskurahat ho
samajh laina mere qaasid…yehi qatil mera thehra..!
meri aankhaiN yeh lay jao…mera yeh kaam kar daina
usay ji bhar ke takna tum….meri ankhoN maiN bhar laina
usay chupke say keh daina
“tumhari jeet ki khatir…yeh baazi jis ne haari hey….
nahiN tum ho sakay uske….woh mar kar bhi tumhari hey…
“nahiN…balkay…mere qaasid…
usay tum kuch nahiN kehna

No comments:

Popular Posts