Tuesday, June 8, 2010

sochta hoon ke bohot sadaa'o masoom hai woh

sochta hoon ke bohot sadaa'o masoom hai woh 
main abhi us ko shanasaa'e muhabbat na karoon 
rooh ko us ki aseer'e gham'e ulfaat na karoon 
us ko ruswa na karoon, waqif'e muhabbat na karoon 
sochta hon ke abhi ranj se azaad hai woh 
waqif'e dard nahi, khoogar'e alaam nahi 
sehr'e ayish main us ki aseer shaam nahi 
zindagi us ke liye zehr bhara jaam nahi! 

sochta hoon ke muhabbat hai jawani ki khizaaN 
us ne dekha hi nahi dunya main baharoon ke siwa 
nikhaat'o noor se labreez nazaroon ke siwa 
sabzaaH zaroon ke siwaa aur sitaroon ke siwa ! 
sochta hoon ke gham'e dil na sunaoon us ko 
samnay us ke kabhi raaz ko uryaan na karoon 
khalish'e dil se usay dast'o gereebaN na karoon 
uskay jazbaat ko main shula'e bad' amaaN na karoon! 
sochta hoon ke jala de gi muhabbat us ko 
woh muhabbat ki bhala taab kahaan layei gi 
khud to woh aatish'e jazbat main jal jayegi 
aur dunya ko us ke anjaam pe tarpaeye gi 

sochta hoon ke bohot sadaa'o masoom hai woh 
main usay waqif'e ulfaat na karoon! 

No comments:

Popular Posts