Tuesday, June 8, 2010

Macchal uth'ti hai shakhein, aur shagoofay raqss karte hain

Macchal uth'ti hai shakhein, aur shagoofay raqss karte hain
Hawa jab gudgudati hai tu pattay raqs karte hain

Jahan yak' rang ho jayen khudi aur behudi dono
Unhi sarshaar lamhoon mein farishtey raqs karte hain

Abhi sehraon ki whshat ka andaza nahi tumko
Inhein iss waqt dekho jab bagoley raqs karte hain

Yeh manzar tumne bhi shayed kabhi dekha ho kahsti se
Thehar jaati hain maujain aur kinaray raqs karte hain

Chiraaghon ki lau'ein yun thatharati hain andheron mein
Kay jaise shab kay angan main, ujalay raqs karte hain

Mahazab door hai lekin,yeh manzar aam hai ab bhi
Kay bismal jab tarapta hai, qabilay raqs karte hain

Main jab tak hoon, meri yeh arzoo'ein bhuj nahin saktiin
Mujhe jalna hai jab tak yeh shararay raqs karte hain

Jawaaz iska koi kya samjhayega mujhko ?
ke main gardish mein hoon gar sitaray raqs karte hain

No comments:

Popular Posts