Tuesday, June 8, 2010

na aamad ki aahat aur na janay ki toh milti hay

na aamad ki aahat aur na janay ki toh milti hay 
kab aatay ho??.....kab jatay ho?? 
kabhi kabhi aangan main laga jab...... 
imli ka yah pair hawa main hilta hay to.....,, 
eento ki deewar pe parchayee ka cheenta parta hay....aur... 
jazb ho jata hay jaisay sokhi mitti par.... 
koi pani k katray se phaink gaya ho...... 
dheery dheery angan main phir dhop sisakti rahti hay! 
band kamray main...... 
kabhi kabhi jab diye ki lo hil jati hay to, 
aik bara sa saya mujh ko 
ghont ghont peenay lagta hay 
aankhain mujh se door bhaith k 
mujh ko takti rahti hain 
kab aatay ho??......kab jatay ho???....... 
din main kitni baar mujhy tum yaad aatay ho!

No comments:

Popular Posts