buhat din se!
mujhe kuch an-kahe al-faaz ne be-chain rakkha hai
mujhe soone nahi dete
mujhe hansne nahi dete
mujhe roone nahi dete
yuon lagta hai
ke jese saans seene men kahen tehri hoi hai
yuon lagta hai
ke jese taiz garmi men
zara si dair ko baarish baras kar ruk gaye ho
ghutan chaaron taraf phaili hoi hai
buhat din se
meri aankhon men sapnon ki
koi dooli nahi utri
buhat din se
khyaalon men,dabe paaon
koi apna nahi aaya
buhat din se
mere jazbaat
jo meri shaairy ke mousamon men rang bharte the
kahen khoye huway hen
mere alfaaz bhi soye huway hen
men unko dhoondhne is zindagi ke dasht men nikla tou hon lekin,
mujhe maloom hai, jazbay!
agar ek baar kho jaain
tou phir wapis nahi milte
mujhe maloom hai phir bhi!
abhi ek aas baaqi hai
men ab is aas ki ungli pakar kar chal raha hon
ba-zaahir shabnami thandak mujhe ghairay huway hai
magar men jal raha hon
men ab tak chal raha hon...!!!
No comments:
Post a Comment