justajuu khoye huon kii umr bhar karate rahe
chaand ke ham_raah ham har shab safar karate rahe
raaston kaa ilm thaa ham ko na simton kii Khabar
shahar-e-naamaaluum kii chaahat magar karate rahe
ham ne Khud se bhii chhupaayaa aur saare shahar se
tere jaane kii Khabar dar-o-divaar karate rahe
vo na aayegaa hamen maaluum thaa us shaam bhii
intazaar us ka magar kuchh soch kar karate rahe
aaj aayaa hai hamen bhii un uraanon kaa Khayaal
jin ko tere zaum mein be-baal-o-par karate rahe
No comments:
Post a Comment