Ab is mien jhoot shaamiL ha
Mohabbat mut kaho is ko
imaarut diL ki girney do
taaluq toot jaaney do
ke ju deewaar apney boojh se girney pe aajaey
diiey ki lao se is deewaar ko phir thaamna kaisa
hawa ka saamna kaisa
buhat kumzoor sa such hai
isey ub bujh hi jaaney do
mohabbat mut kaho is ko
samjh lo surdiyoon ki dhoop jaisa such mohabbat hai
panaah zaat ki aagoosh mien simtey howe such mien
ajub si surd mehri hai
keh
ju thathray howe lufzoon ko hidut nahi dey sakti
sulagti raakh ko aatish ki shidut dey nahi sakti
mager such boLna tao hai
andheira phaiLna tao hai
ub is se paishtur keh munjamid taareekiyaan utrien
aur apne neelgoo'n honton ko si ker dhoop surma ki
kisi ki bolti ankhoon mein chumkey aur mur jaey
rutien weeraan kerjaey
osey ub laut jaaney do
mohabbat mut kaho is ko
mohabbat mut kaho is ko
ghaneeray jungloon ke raaste ka such m ohabbat hai
sunehri ghaas pe soti howi pugdandiyoon ka such
mujsm baankpun ashjaar se lipti howi badlien
keh ju apni namo ki gungunaahut hi se durti hai
dabey paaon guzarti hien
inhi ki aajzi ka such mohabbat hai
mager tehro zara soocho !
ager yeh raaste pugdadiyaan
muhz harf-e-tasali hoon
kisi ki muskuraahut hoon
kisi k door jaate bhaagte qudmoon ki aahut hoon
hawa ki sursuraahut hoon
ya aisa khwaab jis ko aakhrish aankhien bhula daalien
ya aisa khut jisey likhien mager likh ker jala daalien
tao phir aey hum nufs ! yeh maan lo yeh such nahi kyunkeh
ub is mein jhoot shaamil hai
MOHABBAT MAT KAHO IS KO
No comments:
Post a Comment