Tuesday, May 18, 2010

Meri aankhon k weera'n saahilo'n par







Meri aankhon k weera'n saahilo'n par,
In ashkon k machaltay sakht toofaa'n se,
Faqat ladnay ki bas tum ko ijazat hai.
Sanam tum ko ijazat hai....
Meray mann k iss ujday say bayaba'n main,
Gulo'n ko phir khilanay ki,
Faqat tum ko ijazat hai...
K apni khwaab raato'n main,
Meray sapnay sajanay ki,
Meri neendain churanay ki,
Ya phir shehr-e-tamanna main,
Adhori aarzoo ki ....
Koi unmit yaad bunnay ki..
Faqat tum ko ijazat hai,
K jab bhi khwahisho'n ka koi raila,
Tumhary iss khudi aur iss ana ko,
Baha k phir meri aankhon main lay aaye,
Ya phir....
Sawan ki koi ik jhadi ban kar...
Meray sookhay huay mann main...
Baras kar saaz ban jaye,
Tou phir itny guzarish hai...
K tum waapis nahin jana,
Meri inn ankhon main ya ...
Iss dil main kahin tum...
Phir apni yaad k is ghar main reh laina,
Magar waapis nahin jana,
K bin teray kahin ankhain ye meri,
In ashko'n k samandar main...
Kahin nah gharq hojayen.
Ye mera dil...
Jo barson say...
Tumhary aas k badal ki khwahish main...
Adhoori aarzoo ki dhoop sehta hai...
Kahin banjar na hojaye,
Tou bas tum ko ijazat hai...
K jab bhi lautna chaho...
Tou phir...
Meri ankhon main ya...
Iss dil main kahin bhi...
Jo ik pyaara sa ghar hai...
Usi main aa k reh jana,
Magar waapis nahin jana,
Tou bas phir laut anay ki,
Kahin waapis na janay ki,
Sanam tum ko ijazat hai...
Faqat tum ko ijazat hai!!!

No comments:

Popular Posts