khun se jab jala diya ek diya bujha hua
phir mujhe de diya gaya ek diya bujha hua
ek hi dastan-e-shab ek hi silsila to hai
ek diya jala hua ek diya bujha hua
mahfil-e-rang-o-nur ki phir mujhe yad a gai
phir mujhe yad a gaya ek diya bujha hua
mujh ko nishat se fuzun rasm-e-wafa aziz hai
mera rafiq-e-shab raha ek diya bujha hua
dard ki kainat main mujh se bhi raushani rahi
waise meri bisat kya ek diya bujha hua
sab meri raushani-e-jan harf-e-sukhan main dhal gai
aur main jaise rah gaya ek diya bujha hua
No comments:
Post a Comment