Kis Kadar Siyaah Hai Din,
Aur Safed Raatein Hai,
Maut Ki Khamoshi Mein,
Zindagi Ki Baatein Hai,
Waqt Ruk Gaya Hai Aur
Chand Taare Chalte Hai,
Bujh Gaya Hai Ye Suraj
Jism Saare Jalte Hai,
Dekhte Hai Haath Aur Pair
Aankh Sochti Hai Ab
Lab Sile Hue Hai Aur
Sach Bolte Hai Ab,
Sach Bolte Hai Ab,
Saans Ab Dhadakte Hai
Dil Lahoo Mein Behta Hai,
Jism Mein Mera Lekin,
Koi Aur Rehta Hai,
Dard Hai Mere Lekin,
Koi Aur Sehta Hai,
Dushamni Hai Yaaron Se,
Bolti Hai Tasveerein,
Raaz Saari Duniya Ke,
Kholti Hai Tasveerein,
Khaar Mein Hai Khushbu Aur
Phool Khoon Rulate Hai,
De Sakun Angaare,
Honth Ab Jalaate Hai,
Raaste Bhi Sidhe Hai,
Manzilein Bhi Aasan Hai,
Na Koi Musafir Hai
Na Hi Koi Samaan Hai,
Khwahishein Nahi Hai Aur,
Na Hi Hai Koi Maksood,
Jism-O-Rooh Ka Rishta,
Ab Kahin Nahi Maujood...
No comments:
Post a Comment