Suna hai rayegaani ki kahaani likh rahe ho tum
Kahaan se lafz laaogay
Ibaarat kya banaaogay
Jo lehjay mein hai dukh ka zaiqa
Kaise chupaogay?
Agar thehreer likhogay
Muhabbat ki gawaahi se
Judae ki seyaahi se
Qalam ki aankh royegi
Sabhi asloob
Saray ist'eaaray rooth jayenge
Jo dil per band baandhay hain
Woh saaray toot jayenge
Kisi likh kar mutaee satar per
Jab dheyaan thehrayga
Tu ek be-naam rishta
Zeest ka unwaan thehray ga
Ussay jhutlaaogay kaisay
Bayaan kar paaogay kaisay?
Azzeyyat ke hawaaloon ko
Muhabbat ki musaaloon ko
Kisi kirdaar ke dil per paray
Zakhmoon ko, chaaloon ko
Bikhartay khwaab likhogay
Kahaani mein jahaan per hijar ka tum baab likhogay
Kahoo hai taab?
Likhogay?
Kahaani mein umooman aakhri safhay pe aa kar hi
Diloon ke chaak siltay hain
Ya wirsay dukh ke miltay hain
Magar tum khol bethay ho yeh safha shaam se pehlay
Muqaam-e-sabar se pehlay
Hadd-e-ilzaam se pehlay
Kahaani khatam hi karni hai gar
Anjaam se pehlay
Tu yeh bhi faisla kar do
Ke hum likhain tu kya likhain
Tumhare naam se pehlay ...
No comments:
Post a Comment