Monday, June 14, 2010

lab-e-khamosh se izhar-e-tamanna chahe


lab-e-khamosh se izhar-e-tamanna chahe
bat karne ko bhi taswir ka lahja chahe

tu chale sath to ahat bhi na aye apni
darmiyan ham bhi na ho yun tujhe tanha chahe

zahiri ankhon se kya dekh sakega koi
apne baton pe bhi ham fash hona chahe

jism-poshi ko mile chadar-e-aflak hamain
sar chupane k liye wusat-e-sehra chahe

khwab main roye to ehsas ho sairabi ka
ret par soyen magar ankh main dariya chahe

bhent char jaun na main apne hi khair-o-shar ki
khun-e-dil zabt kare zakhm tamasha chahe

zindagi ankh se ojhal ho magar khatm na ho
ek jahan aur pas-e-parda-e-duniya chahe

aj ka din to chalo kat hi gaya jaise bhi kata
ab Khuda-bande se khairiyat-e-farda chahe

aise tairak bhi dekhe hain 'Muzaffar' hamne
garq hone k liye bhi jo sahra chahe

No comments:

Popular Posts