Sunday, July 11, 2010

Wo jazbon ki tejarat thi ye dil kuch aur samja tha


Wo jazbon ki tejarat thi ye dil kuch aur samja tha
usey hansne ki aadat thi ye dil kuch aur samja tha,

Muje us ne kaha aao nai dunya basate hain
usey soojhi shararat thi ye dil kuch aur samja tha,

Hamesha us ki ankhon main dhanak se rang hote thy
ye us ki aam halat thi ye dil kuch aur samja tha,

Wo mery paas bethi der tak ghazlen meri sunti
usey khud se mohabat thi ye dil kuch aur samja tha,

Mery kandhe per ser rakh ker kahin per kho gae thi wo
ye ik waqti enayat thi ye dil kuch aur samja tha,

Muje wo dekh ker aksar nigahen pher leti thi
ye dar parda haqarat thi ye dil kuch aur samja tha.

No comments:

Popular Posts