Sunday, July 11, 2010

Mere ashkon ko palkon pe machalna bhi nahi aata


Mere ashkon ko palkon pe machalna bhi nahi aata
Hisaar-e-zabt se mujh ko nikalna bhi nahi aata

Gaye ho aisi raahon main akela chor ke mujh ko
Ke jin pe theek se mujh ko chalna bhi nahi aata

Mujhe lagta hai main gham ka woh sooraj hoon
Ke jis ko shaam ho jane pe bhi dhalna nahi aata

Na rehte muntazir tere to or kia karte ?
Hamen teri tarhan rastay badalna bhi nahi aata

Yeh dunya bhi jalati hai umar bhar unhi ko
Ke jin ko mom ki tarhan pighalna bhi nahi aata...!

No comments:

Popular Posts