Kuch asmaaN se aaye thay, kuch ghar se aaye thay
Aur ham ke kha ke ThokareN, dar dar se aaye thay
Ek apni dushmani maiN wo dunya se chHup gaya
Sab log milnay jis haseeN paikar se aaye thay
Wo bazm-e-dostaaN maiN bhi poori na hosaki
Jis aarzoo maiN koo-e-sitamgar se aaye thay
Har roz kioN na daikhtay tum ham ko karb maiN
Har sub'h apni zaat ke mehshar se aaye thay
Jo haal poochHta hai, usay kaisay ye kahaiN
Sab zakhm ham ko us ke hi khanjar se aaye thay
Un ke muqaddaroN maiN faqat bad-tareen tha
Behter ki aarzoo maiN jo bad-tar se aaye thay
Apni khudi se be-khabar aisay bhi log thay
Qatray ki aarzoo maiN samandar se aaye thay
Aye kaash! daikh laitay wo ham se badal ke aaj
Shikwa jo kartay apnay muqaddar se aaye thay
AuroN ke saath in ko bhi khairaat mil na jaaye
Takheer se Saraab isi Dar se aaye thay
No comments:
Post a Comment