Sunday, July 11, 2010

Daher mein,naqsh-e-wafa wajah-e-tasalli na hua


Daher mein,naqsh-e-wafa wajah-e-tasalli na hua
Hai ye woh lafz k sharmindah-e-maani na hua

Mein ne chaha tha k anduah-e-wafa se chutun
Woh sitamger mere marne pe bhi raazi na hua

Dil guzar gaahe khyaal-e-ma'e-o-saghar hi sahi
Ger nafas jaadah'e sir'e -manzil-e-taquwa na hua

Kis se mahroomi-e-kismat ki shikayat kijye
Hum ne chaha tha k mer jayen,so woh bhi na hua

Mer gaya sadma-e-yak jumbish-e-lab se 'Ghalib'
Natawani se hareef-e-dam-e-eisa na hua

1 comment:

Unknown said...

Dil ko choo lene wali ghazal
Padne wale ko lagta hai k ghalib ne uske liye likhi hai

Popular Posts