Sunday, July 11, 2010

Ajnabi shehar kay ajnabi rastey


Ajnabi shehar kay ajnabi rastey
meri tanhayi per muskuratey rahe

Main bohut dair tak yunhi chalta raha
Tum bohut dair tak yaad atay rahe

Zehar milta raha, zehar peetey rahe
Roz marte rahe, roz jeetey rahe

Zindagi bhi humein azmati rahi
Aur hum bhi issey azmatey rahe

Zakham jab bhi zehan-o-dil per laga
Zindagi ki taraf ik dareecha khula

Hum hi goya kisi saaz ki taar hain
Chaut khatey rahe, gungunatey rahe

Kal kuch aisa huwa, main bohut thak gaya
Iss liye sun kay bhi un'suni kar gaya

Kitni yaadon kay bhatkey huwe karvaan
Dil kay zakhmoon kay dar khatkhatey rahe

No comments:

Popular Posts