Sunday, March 7, 2010

Ye sunsaan ratein ,ye thandi hawaein

Ye sunsaan ratein ,ye thandi hawaein,ye pheli hui teri yadon ki khushbu

Ye chup chaap se pair,ye gham ke saaye,ye dil ki kasak,ye ulfat ka jadoo

Ye sab jaagte hain

ye sab sochte hain

ye sab karwatein le k hain aah bharte

Nayi manzilon se ,naye raaston se ,naye mor se sab k sab hain guzarte

Her ek mor per jaise koi khada ho,isharon isharon mein kuch ke raha ho

Samajh mein na aaye koi baat us ki

mager

jaise chasma sa ek bah raha ho

Koi jaise meethe madhur geet k bole madham suron mein un hi gungunaye

Koi jaise tufaan dabaye ho dil mein

kisi se mager phir bhi kuch keh na paye

Kuch alfaaz aise jo yun daikhne mein purane se hain aur kitne hi insaan

Un hi k sahare se kehte rahe hain

Dilon ki muradein

Dilon k armaan

Ye Armaan ,ye Aaarzoein hamari

Ye kuch kumhlate hue phool jaise

Jagayein jinhen aa k jhonke hawa k ,jinhein gud guda jayen aa aa k bhanware

Khizaaon ki hawaon k chalne se pehle

Tapakte hue phool k rass mein goya

koi geet sa bun liya hai baharon ne

Gaate hain ab bhi jaise baagh-o-sahra

Jo kunj-E-mohabbat mein pairon ki chanti hui chandni ki zaban se hai kehta

Kaho aaj ki raat kaisi guzaari...??

Koi aaj ki raat milne bhi aaya.....??


*****************

No comments:

Popular Posts