kabhi jo sookhe phool choomo gi to yad aaon ga
bikhri hui choorian ko uthao gi to yad aaon ga
ab to yeh aansoo chura leta hoon palkon se
sham e tanhai main unhe khud pohcho gi to yad aaon ga
kahain mosam aain ge aur aa ker guzar jain ge
barish main jo kabhi beegho gi to yad aaon ga
kabhi jo ser e sham se dariya ke kinare
kissi ajnabi ko dekho gi to yad aaon ga
tu mere aankhon ke tewer bhulla na pao gi
un kahi baton ko samjho gi to yad aaon ga
is andaz mian andaz hota tha mukhatib tum se
khat jo kisi aur ko likho gi to yad aaon ga
No comments:
Post a Comment