***Un Jheel si gheri Ankhon mein***
un jheel si gheri aankhon mein ik shaam kahin abaad to ho...
us jheel ke kinaare pal do pal
ik khawaab ka neela phool khile!
wo phool baha dein lehron me
ik roz kabhi hum shaam dhale...
us phool ke behte rangon mein
jis waqt larazta chaand chale !
us waqt kahin un aankhon me us guzre pal ki yaad to ho!
un jheel si gheri aankhon me ....ik shaaam kahin abaad to ho!
phir chaahe umr samandar ki
her moj pareshaan ho jaae!
phir chaahe aankh dareeche se
her khawab garezan ho jae!
phir chahe phool ke chehre ka...
her dard numayan ho jaae!
us jheel kinaare pal do pal woh roop nagar ejaad to ho!
din raat ke is aaine se wo aks kabhi aazaad to ho!
un jheel se gheri aankhon me ik shaam kahin aabaad to ho!!!

No comments:
Post a Comment