Sunday, May 2, 2010

hansi ke raste pe chala karo

hansi ke raste pe chala karo
khushiyo ki mahak liya karo
pyar se dilon ko chuha karo
jahan tumhe gum nazar aaye
is nacheez ko yaad kiya karo

har kali tujhse khushboo udhaar mange
aftab tujhse noor udhaar maange
Rab kare tu dosti aesi nibhaye ke log
teri dosti tuj se udhaar maange

kehte hai gam baatne se hota hai kam
aesa hi kabhi pele maante the hum
tere pyar ki nishani tera gam hi to mere pass
wo bhi baat do to rahega kya mere pass

sochta hoon in sagar ki lehro ko dekh kar
kyon yeh kinaro se takra kar palat jaati han
karti hain vo kinare se bewafai ya phir
sagar se wafa nibhati hain

tumko chahne waale kam na hoon ge
waqt ke saat magar ham na honge
apna pyar chahe kisi ko bhi dena
par teri yaad ke hakdaar sirf ham hi honge

har phool khushbudaar nahi hota
har pathar chamakdar nahi hota
dosti dekh kar karna dost
kyon ke har dost humsa dildaar nahi hota

koi aankhon se baat kar leta hai
koi aankhon main mulaqat kar leta hai
bara mushkil hota hai jawab dena
jab koi khamosh reh kar sawal kar leta hai

who aate to hain magar tan se nahi
wo bhetthe to hain magar man se nahi
kaun kehta hai ke woh pyar nahi karte
karte to hain magar hum se nahi

kaash dil ki awaz main itna asar ho jaaye ke
hum aap ko yaad kare or aap ko khabar ho jaaye
aaj rab se yehi dua hai meri ke
jise aap chahe who aap ka humsafar ho jaai

hum kabhi aap se khafa ho nahi sakte
yehi dil ke rishtey bewafa ho nahi sakte
aap bhale hame bhulake so jaao
hum aap ko yaad kiye bina so nahi sakte

hasna hamara kisi ko gawara nahi hota
har musafir zindagi ka sahara nahi hota
milte hain bohat log is tanha zindagi main
par har koi tum sa pyaara nahi hota

chand ke liye sitare bohat hain
lekin stiaron ke liye chaand ek hai
aap ke liye to hazaro hoon ge
lekin hamare liye aap hi ek hain

kanto ke badle phool kya do ge
aansu ke badle khushi kiya do ge
hum chahte hain aap se umar bhar dosti
hamare is sawal ka jawab kiya do ge

har nazar me ek kashish hoti hai
har dil me ek chahat hoti hai
mumkin nahi har ek ke liye taj mahal banana
kiyo ke har dil main 4-5 mumtaz hoti hain

aap har manzil ko mushkil samajte hain
hum aap ko manzil samajte hain
bara fark hai aap ke aur hamare nazariye main
aap hame sapna, aur hum aap ko apna samajte hain

door hote hoi bhi dosti ka rishta nibhate hain aap
na jaane kiyon dil ko lubhate hain aap
yeh kaisa karishma hai aap ka
jo hum ko itna yaad aate hain aap

tammana umar zindagi se door rahe
teri khushi ke liye apni khushi se door rahe
isse bari wafa ki saza kya ho gi
tere ho kar bhi hum tumse door rahe

khushbu ki tarha aap ke pass bikhar jayenge
sukun bankar dil me utar jayenge
mehsus karne ki koshish karna
door hote hove bhi pas nazar aayenge

pyar nahi karna tha humse
dillagi to na ki hoti
ae bewafa beech samandar main lakar mara

No comments:

Popular Posts