Saturday, December 24, 2011

Yeh jaatay baras ke aakhri lamhay

Yeh jaatay baras ke aakhri lamhay
Guzarti saa'atoo ke dhundelkay
Aur
Palkoon pe yadoo ke sitaaray
Pal bhar ko yun laga jaisay
Unhi yaadon unhi kahaaneyoon ke beech
Wakt tham sa gaya ho jaisay
Woh jo chiraag jala thaa roshni ke liye
Madham hogaya ho jaisay
Aur jo dariya muhabbatoon ka tha
Ab utar gaya ho jaisay
Aakhri shaam ka doobta suraj
Kuch keh raha ho jaisay
Un chaahatoon ka suraj bhi
Doob raha ho jaisay

Magar ab dil mein yaadoon ke siwa
Aur aankh mein aanso'oon ke siwa
Aur bacha hi kya hai
Jo ab aakhri saa'atoon ke naam karoon
Woh sab chaahatain aur sab muhabbatain
Aur un muhabbatoon ki saari shiddattain
Sab kuch tu ussi ke naam kar diya thaa

Haan, magar ab tak yaad hai
Us wakt bhi suraj yunhi doob raha thaa
Aur... woh bhi
December ki aakhri sard shaam thee
Jab us ne dheeray se kaha thaa
"Naya Saal Mubarak"... !!!

No comments:

Popular Posts