Saturday, December 24, 2011

KABHI AISA BHI HOTA HAI



KABHI AISA BHI HOTA HAI
KOI BE NAAM SI WAHSHAT MUJHE YU’N GHAIR LETI HAI
HAR IK SHA’I ZEHAR LAGTI HAI
KOI CHEHRA, KOI PEKAR MUJHE ACHA NAHI LAGTA
NIHAYAT DIL RUBA BE HAD HASEE’N, RANGEEN QURBAT BHI
MUJHE BE QAIF KARTI HAI
MUJHE APNI PASANDEDA
WO IK NAMKEEN SI SURAT
PHEKI PHEKI LAGTI HAI
TANAZUR HI BADAL JATA HAI
MERI KHUSH NIGAHI, KHUSH MIZAQI KA
MERE SUNNE MERE CHAKHNE MERE MEHSOOS KARNE KI
HAR IK HISS MAR SI JATI HAI
BUHAT MAQBOOL MERI KHUSH KALAMI BHI
NIHAYAT BE RAAS-O-MAJHOOL LAHJA OORH LETI HAI
PASANDEDA MERA MASHROOB
YANI AAB-E-SARD-O-SADA-SHEEREE’N BHI
SERABI NAHI DETA
ZAROOF-E-KHUSH NUMA MAIN BHAANP DETE
MERI MAA K MEHARBAN AUR TAAQ HATOON SE BANE
LAZAT BHAREY KHANO KI RUGHBAT
UTH SI JATI HAI
KISI K DAST-E-NAZUK SE BANI STRONG COFFEE BHI
MUJHE APNE ANARI HAATH KI CHAI SI KAGTA HAI
AJAB SAFAAK WAHSHAT HAI
MERE DIL KI LUGAT SE
LAFZ KHUSH K JITNE BHI HAI’N
LAHIQE AUR SABQE SAB CHEEN LETI HAI
MAIN IS WAHSHAT SE GHABRA KAR
NISHAT-E-SHER-O-NAGMA MAIN PANAH LENE KO AATA HON
MAGAR IK BE-KALI
IK JAAN LEWA BE-KALI DASTI HI RAHTI HAI
NIHAYAT SAAD-O-PURKAAR LAHJEY MAIN
BAHTER MEER K NASHTAR
WO DIL SOOZI ALAM NAKI
MUSALSAL AAH-O-GIRYA
YAAS-O-HARMA
KUCH BHI TOU MAYAL NAHI KARTE
MERI WAHSHAT K QATIL ZEHAR KO ZAYIL NAHI KARTE
MUJHE GALIB KI UMDA SHAIRI
BHARPOOR SHOKHI, DIL NAWAZI
FALSAFA, GHARAI SAB BE-MANI LAGTEY HAI’N
TA’AJUB HAI K HASRAT KA BUHAT DILKASH TAGAZUL BHI
MERE DIL KO NAHI CHOOTA
JIGAR KI ISHQ MAIN DOOBI TARANUM REEZ GAZLAIN BHI
MUHABBAT KA NASHA TARI NAHI KARTI’N
MIJAZ-E-LAKHNOW KI SHEHAR-E-AFAAQ AAWARA
MERI WAHSHAT K ATISH DAAN MAIN EENDHAN SA BHARTI HAI
MUJHE AKHTAR KI SALMA, JAN.NISAAR AKHTAR KI ANJUM
MUSTUFA ZAIDI KI QATIL LALA RUKH SHAHNAZ BHI
DILKASH NAHI LAGTI
DIYAAR-E-SHARQ KI ABADIYO’N K OONCHEY TEELO PER BHATAKTA
AKHTAR-UL-EEMAAN KA HUMZAAD LARKA BHI MUJHE ACHA NAHI LAGTA
MUJHE MAKHDOOM KI UHD-E-JAWANI KA NIHAYAT DIL NASHEE’N
ROMAAN PARWAR RANG BHI BE-RANG LAGTA HAI
MUJHE SAHIR KI DIL KO AANCH DETI SHAIRI
BEZAAR KARTI HAI
HAMARE FAIZ SAHAB K BUHAT MADHAM SULAGTEY NARM LEHJE KI KASAK
YUNHI SI LAGTI HAI
MUJHE RASHID KI WAHSHAT KHAIZ BANHO MAIN THIRAKTI
DILRUBA JIDDAT TABA HUM RAQS BHI
KOHNA SI LAGTI HAI
MAJEED AMJAD K MISROO’N KA TASALSUL
MUNFARID MOUZOO, KAMAL-E-NAZM GOI AUR TA’ASUR
MUJH PE KOI KAIFIAT TARI NAHI KARTE
MAIN APNE DIL SE AKSAR POCHTA HO’N
AE DIL-E-WAHSHI
YE AALAM KAISA AALAM HAI
YE WAHSHAT KAISI WAHSHAT HAI
MUJHE KYUN GHAIR LETI HIA
BADAN MAIN GOONJTI, MERE LAHOO MAIN SANSANATI HAI
YE WAHSHAT KAISI WAHSHAT HAI
KAHAN SE HO K AATI HAI
YE KIS RAHLAT KA NOHA HAI
YE KIS HASRAT KA HASIL HAI
GUZISTA SHAB YAHI WAHSHAT
MERE DIL PER MUSALAT THI
MUSALSAL KARWATAIN THI’N, JAAN LEWA BE-KALI SI THI
ACHNAK DIL KI BE-TARTEEB DHARKAN NE
SUKOOT-E-SHAB KO YU’N TOORA
“SUNO HARE HOE INSAA’N!!
BHALA KAB TAK TUMHARI KHUD FAREBI
TUM KO IS WAHSHAT MAIN RAKHE GI?
JINHAIN TUM ZINDAGI SE BE-DAKHAL KAR K
BAZAHIR FATEHANA SHAAN SE ITRATE PHIRTE HO
ABHI TAK ZEHAN-O-DIL PER
ROOH PER QABZA UNHI KA HAI
YE WAHSHAT IK KASAK HAI, GUMSHUDA LOGOO K KHONE KI
YE WAHSHAT HI SABAB HAI IS TARHA BE-ASHK RONE KI”

No comments:

Popular Posts