Saturday, December 24, 2011

Agar tark-e-taaluk hi wafaoun ka taqaza hai

Agar tark-e-taaluk hi wafaoun ka taqaza hai
khushi say bhool jao tum,
wo shab dhalay ki khamoshi main meray nam likhay khat,
Taveel wo shairoun say, phooloun say laday sab card,
meray mobile per wo jagmagaty pyar k qissay,
wo khushbu bat ki yadain, wo mehki rat ki batain,
Adhooray sab fasanay or adhoori sab mulaqatain,
tumhain meri ijazat ha,
bhula do saray qadoun ko, bhula do sari yadoun ko,
Jala do meri sab nazmain,
lota do pyar k tohfay,
Qalam jis per tumhara nam chaandi se likhaya tha,
wo tie jo galay ka haar ban k rehti thi aksar,
Kitabain…. Jo tumhari khwab gah ki ab bhi zeenat hain,
wo Cd jo tumhari gari main ab bhi amanat ha,
Romaloun per tumhara nam ham ne khud hi garha tha,
agar tark e ta’aluk hi wafaoun ka taqaza ha,
suno phir aaj hi is be mehr sa’at k saye main,
har ik shart e wafa se ham tumhain aazad karty hain,
K khud hi Qatl hoty hain, khud bedaad karty hain,
chalo dil pe chataan rakh kar,
gulistaan e muhabbat ko,
khud barbaad karty hain,
tumhara nam tak lety nahi tanhaiyoun main ham,
magar is dil ki dharkan ko bana kar raz dan apna,
tumhain hum yaad karty hain,

No comments:

Popular Posts