Kabhi Jo Zeest Ka Apni Hisaab Kerna
Deyhaan Rakhna,Khayaal Kerna
Main Jo Tumhaari Aarzoo Mein
Musaaftoon k Kathin Safar Mein
Sitam Zareefi Ki Manziloon Ko
Bey Aytnaai k Sarkhoi Sey
Guzar k Jaanay Kahaan Khara Hoon
Tumhaari Raah Tak Rahaa Hoon
Kabhi Jo Qissey Sunaaney Betho
Khud Ko Yunhi Dohraaney Betho
Safar Karo Jo Maazioon Ka
Kabhi Jo Waqt Ka Hisaab Kerna
Khayaal Kerna, Dhyhaan Rakhna
Main Jo Tumhaari ik Muskuraahat,
Ik Ik Lafz k Hazaar Maaney
Talaashta Hoon, Sanwaarta Hoon
Diloon Mein Apney Utaarta Hoon
Tumhaari Aankhoon k Jugnoun Ki Roshni Mein
Ajab Nagar Mein Aa Gaya Hoon
Na Manoosiyat, Bey Tawajjuhi Ka
Azaab Sehtey Sehtey Uktaa Gayaa Hoon
Andher Nagri Mein Aa Gayaa Hoon
Talaash-e-Yaraan Mein Sergardaan
Nishaan-e-Manzil Talaashta Hoon
Suno ..... !
Agar Jo Diya Utha k Tum
Kabhi Andheyri Raah Pey Niklo
Khuda Karey Roshni k Humraah
Usi Raastey Pey Nikal Paro k
Jis Raah Pey Main Roshni Ki
Talaash Mein
Taweel Arsey Sey Muntazir Hoon
Tumhaari Aankhoon k Jugnoun Ney
Idher Ka Rasta Hi Bhula Diya Hai
Bey Amaan Manzil, Be Nishaan Manzil
Kisi Diye Ki Hi Muntazir Hai
Suno ..... !
k Main Tumhaara Muntazir Hoon
So,
Kabhi Jo Raah Mein Ujaala Kerna
Deyhaan Rakhna, Khayal Kerna
Kabhi Jo Apna Ahteysaab Kerna
Meri Wafa Ka Khaayal Rakhna ..... !!!!!
No comments:
Post a Comment