Thursday, April 22, 2010

kaha tha jab ussay main nay

kaha tha jab ussay main nay
zara mujh ko batao to
mohabbat kis ko kehtay hain
bhala kaisay yeh hoti hai
meri woh baat sun k to
zara dheemay say muskaya
labon ko bheench k uss nay
tha palkon ko bhi jhapkaya
zara sa soch k uss nay
lya tha saans ik gehra
hua tab mujh say yon goya

mohabbat naam hai jisska
naseebon say he milti hai
shoro ankhon say hokar to
yeh qabza man pe karti hai
suna hai me nay logo say
k khon-e-dil pay palti hai
kabhi yeh seher ki manind
kabhi yeh shaam lagti hai
kabhi kanton ki yeh chilman
kabhi pholon bhara gulshan
kabhi yeh man ki mehmaan hai
kabhi ye dushman-e-jan hai
kabhi yeh jeet ka paikar
kabhi yeh haar lagti hai
kabhi tan mun jalati hai
lahoo bhi yeh rulati hai
kabhi masroor karti hai
kabhi ranjoor karti hai
kabhi khudsur banayay yeh
kabhi majboor karti hai
kabhi yeh zakham deti hai
kabhi marham lagayay yeh
kabhi yeh dar badar karday
kabhi sehra nagar karday
kabhi kaanton pay sulwayay
kabhi patharon pay chalwayay
kabhi taano ka mojib hai
kabhih khud pe he hasayay
mohabbat jog bhi to hai
yeh dil ka rog bhi to hai
mohabbat dhoop ki shiddat
mohabbat gul ki narmahat
mohabbat chandni bhi hai
mohabbat ragni bhi hai
mohabbat phool main khushboo
mohabbat chamakta jugnoo
mohabbat aik qehqaha bhi
mohabbat ankh ka ansoo
mohabbat raat ki rani
kabhi jharno ka yeh pani
kabhi yeh ablaa dil ka
kabhi yeh ooas ka qatra
ajab sanjoog hai yeh to
musalsal rog hai yeh to
mohabbat jan ki dushman
kahin yeh aan ki dushman
jaha tak hosakay mumkin
bachana iss say tum daman

KAY ANKHAIN NUM NAHI KARNA
MOHABBAT TUM NAHI KARNA...!!!

No comments:

Popular Posts