Saturday, October 8, 2011

Ab kay bars saawan ko sulagtey dekha hai


Ab kay bars saawan ko sulagtey dekha hai
Dasht ki sookhi piyaas may aab ko sulagtey dekha hai

Uss roz se ankh ne meri neend se dushmani kar dali
Jis shab se teri palkoon pe khawab ko jaltey dekha hai

Paani pe wo likhta raha dil-e-nashad ka fasaana
Hum ne tu kitab-e-ishq kay har baab ko jaltey dekha hai

Mansob har qissa jafaoon ka mujh se kr detay hain tere shehar kay log
Shayed kisi ne teri wafaoon ki kitab ko sulagtey dekha hai

Yaad key anokhey jugnu tawaaf krtey hain shajr-e-be-saya ka
Yaadon key uffaq pe mahtaab ko sulagtey dekha hai

No comments:

Popular Posts