Sunday, August 22, 2010

Bhool chuka hoon apni daastaan zara phir se kehna


Bhool chuka hoon apni daastaan zara phir se kehna.
Aai kis tarah gulshan mein khizan zara phir se kehna.

Sirnigoon hona wo ghunchon ka ab tak yaad hy.
Kiya Qissa tha khoonchikan zara phir se kehna.

Qadam kabhi iss tarah dagmagaae to na thay kabhi.
Simat kiyun raha hy jahan zara phir se kehna.

Dil jo dharakta tha mari yaad k saayon talay.
Huwa kaisay jazbon se anjaan zara phir se kehna.

Yoon to her sham ko pegham-e subah diya tu ne.
Taareek sa kiyun lagta hy samaan zara phir se kehna.

Taqdeer ki laghzish thi k nafas parasti ka janoon.
Ajnabi sa tha andaz-e biyaan zara phir se kehna.

Taray labon pe machalti hui khamosh si junmbish.
Kiyun na kahaun lafzon ka ziyan zara phir se kehna.

Muskrahaton mein jhalaktay huway ashak kiy maani.
Koi to ho ga iss mein raaz pinhaan zara phir se kehna.

Zindagi ki veeran raahon mein aaey gi bahar.
Kiya tera bhi hy ye emaan zara phir se kehna.

Armaanon ki chita jalanay se kiya haasil
Huwa hy aub ye raaz nihaan zara phir se kehna...

No comments:

Popular Posts