Sunday, August 22, 2010

Mohabat rabt-e-Khas he diloon ke darmian aisa


Mohabat rabt-e-Khas he diloon ke darmian aisa
Ke dil barbad ho jaen to pachtawa nahi hota


mohabat aisa darya he ke jis mein doob bhi jaen,
satah e aab per ayien tu pachtawa nahi hota


Mohabbat aisa sehra he ke rasta bhool bhi jaein,
Khas-o-khashak ho jaein to pactawa nahi hota


Mohabat aisa tilsim he ke jis mein qaid ho jaein
Ya rehai bhi pa jaein to pachtawa nahi hota


Mohabat aisa surmaya he keh sub kuch lut bhi jae,
aur donoon hath khali hoon to pachtawa nahi hota


Mohabat aisa jazba he ke jal ke khak ho jaen
pighal ker aag ho jaein, to pachtawa nahi hota.


Mohabat aisa rishta he, duniya rooth bhi jae
Ya khood barbad ho jaen to pachtawa nahi hota


Mohabat aisa naghma he ke isko gungunanay wale
kabhi goonge bhi ho jaein to pachtawa nahi hota


Mohabat milne aur bichirne ka aisa gorakh-dhanda he
ke is me kuch bhi ho jaen to pachtawa nahi hota


Mohabat aisa nasha he ke tun barbad hojae
aur dil mitti mein mil jae to pachtawa nahi hota


Mohabat aisa kasa e kherat he jis mein maaf ker do ki
sada bhi ger, faqat aae to pactawa nahi hota

No comments:

Popular Posts