mujhe tan se ziyaada, us kaa mann acha laga tha
aur us ki shakhsiyat kaa baankpan acha laga thaa
Gharaz mujh ko nahiin thii zaahirii surat se us ki
mujhe tau sirf andaaz-e-suKhan achchhaa lagaa tha
vo siidhii baat bhi kartaa thaa aksar shaayrii meN
mujhe uss kaa yehii diivaanaapan achchhaa lagaa tha
zamaanaa keh rahaa thaa us ke baare meN fasaane
magar mujh ko tau us kaa har chalan achchhaa lagaa tha
dhanak ke raNg hi bhaate haiN aksar laRkiyoN ko
mujhe tau eik saadaa pairahan achchhaa lagaa tha
bane alfaaz aNgaare tau ab hairaan huuN maiN
ke us lahje kaa mujh ko dhiimaapan achchhaa lagaa tha
mire baaloN ki chaaNdii se gurezaaN aaj hai wo
jise kal mera chaaNdii saa badan achchhaa lagaa tha
vo jis dam us ne mujh se khelne ko chaaNd maaNgaa
mujhe bachche kaa apne, bholaapan achchhaa lagaa tha
pariindaa laut ke vaapas qafas meN aa gayaa hai
jise phailaa huvaa niilaa gagan achchhaa lagaa tha
No comments:
Post a Comment